TERE WAADON KI KASHMAKASH MAIN JEE RAHA HUN.
Ere waadon ki kashmakash main jee raha hun
kuch soch raha hoon bekhayal bhi reh raha hun
teri tasweer hai nigahon ke samne masoom see
tujhe dekh raha hoon zakhm bhi see raha hun
dekh aaj tu kahin nahi aur main jee raha hun
teri yaadon ka kafan odhe tanhaai main pal raha hun
ek jeeti-jaagti mujjassim ban gaya hun
na hansta hun na rota hun bas behaal sa main rehta hun
na shikan chehre pe koyi na kisi se kuch kahta hoon
sakht shaam kee dahlaeez par kahdi
khwabon ka intezaar kar raha hun
tu jo meri daraaz men chupa gaya tha
woh khat parh raha hun aur intezaar kar raha hun
us shaam ka, jab tu aaiga aur seene se mujhe lagaiga
apni zindagi banaiga aur saare gam le jaaiga
tere intezaar main jamai ansoo tujhe dekh sab bahadun
is khwaab ko ankhon main liye main har pal jee raha hoon
khaton me toone wapsi ka zikr kiya hai
tabhi to main hijr ka har ghoont pi raha hun
ke tu mere liye aab-e-hayat layega
tu yahi khat phir se mujhe parh ke sunaiga
aur kahega main kahtaa tha na aaunga
tabhi to aaya hun kahan chupoge mujh se
tumhara saya hun tabhi to aaya hun
zindagi ke ranj-o-gam mitaane aaya hun
tumko tumhi se churaane aaya hun
saare gile shikve mitaane aaya hun
ek nayi zindagi dene aaya hun...