Admin Admin
Posts : 29 Reputation : 0 Join date : 2009-04-10
| Subject: Pehlay haq tha teri Khushboye badan pay mera, Fri May 29, 2009 7:02 pm | |
| Pehlay haq tha teri chahat kay chaman pay mera, Pehlay haq tha teri Khushboye badan pay mera, Ab mera pyar teray pyar ka haqdar nahi, Mein teray Gesoye rukhsar ka haqdar nahi, Ab kisi aur kay shanu pe hai tera anchal, Log toofan utha denge meray sath na chal, Mein teray pyar say Ghar apna basawo kesay?? Mein teri maang sitaro say sajawo kesay?? Meri qismat mein nahi pyar ki khushbu shayad, Meray hathon k lakeeron mein nahi tu shayad, Apni taqdir bana, mera muqadar na badal, Log toofan utha denge meray sath na chal, Mujhse kehti hain ye khamosh nigahein teri, Meri parwaz say ounchi hain panahain teri, Aur gairat-e-ehsas pe sharminda hoon, Ab kisi aur ki bahoon mein hai baahein teri, Ab kahan mera tikana hai, kaha tera mehal, Log toofan utha denge meray sath na chal, | |
|
Shaheena
Posts : 52 Reputation : 0 Join date : 2009-05-25 Age : 35 Location : Karachi
| Subject: Re: Pehlay haq tha teri Khushboye badan pay mera, Sat May 30, 2009 12:02 am | |
| bohat khoobsurat poem Admin Nice .... | |
|
pinki
Posts : 7 Reputation : 0 Join date : 2009-05-29
| Subject: Re: Pehlay haq tha teri Khushboye badan pay mera, Sat May 30, 2009 11:50 pm | |
| | |
|
Hamzaad
Posts : 39 Reputation : 0 Join date : 2009-06-01
| Subject: Re: Pehlay haq tha teri Khushboye badan pay mera, Mon Jun 01, 2009 6:12 am | |
| | |
|
Sponsored content
| Subject: Re: Pehlay haq tha teri Khushboye badan pay mera, | |
| |
|