koi aisey ajnabi bhi nahiN is shahr ke log
kuchh keh to ranj-o-gham ki, sab ko suna ke dekh
hamshakl ho gaya hai mere gham ka, tera gham
tu mere dil ko apna aayina bana ke dekh
yeh farq dair-o-harm ka nazroN ka bharam hai
tu deengah se apni, bahar to aa ke dekh
jab ranjishoN meiN kat gayee, ab na fareb kar
waqt aakhiree hai, ab na muskura ke dekh
khamosh sun rahey haiN hum, sarghoshi-e-bahar
aatey haiN apne gaaoN se jhoNkey hawa ke dekh
maiN muNtzir huN roz-o-shab, aiy dard-e-do_jahan!
be-dard, jab bhi waqt miley, aazma ke dekh