Judai mout hoti hai
Kabhi fursat mile to dekhna patton ka girna tum
K kaise ya sajar se gir zameen per aaan parte hain
To kaise roondh jate hain
Thitharti raat k khamosh lamhoon main
Kisi bebas akeli bewafa khamosh larki ki
kabhi tum siskiyaaan sunna
Kabhi kataaar se bachri hui konjon k nohe per
Nigaaah kerna
K kaise aik dooje ki judai per
Tarap ker baen kerti hain
Kabhi rukhsat k lamhoon main
kisi ki ankh se larazte hue ansoo ko dekho gi
To tum ya jaan jao gi
Judai mout hoti hai
Abhi tum ne
Mohabbat k baraste Bhegte mausam nahi dekhe
Abhi tum titliyooon k rang muthi main chupate ho
Abhi tum muskurate ho
Suno jana!
kabhi jo zindagi ne ajnabi rahoon per,
Tumhari ya hasi cheni
To phir ansoo bahao gi
Tum itna jaan jao gi
Judai mout hoti hai