MAIN AAJ PHIR ROYA HOON..!
Main akela tha, tanha tha ..
bezar aur laachar main ,
jabh nikla bahir ghar se main.
thandi hawa ne mujhe galay lagaya ,
merey chehrey se balon ko hataya.
phir garjay badal meri ahoon pe ,
aur ro dia asman bebassi pe meri.
paani ki girti bondon ne ,
merey aanson ko saf kia.
phir main akela kab tha..
kuch sokhey pattey paas the ,
jo merey gird bikhrey the.
woh bhi to kitney the badnaseeb !!
bichar gaye the pae'roon se,
aur haath charey the fizaon ke.
main un sokhe patton k sang,
khara tha tanha barish main !!
aur keh raha tha boondon se ,
pooch raha tha behtey paani se ,
kion ponch rahe ho yeh aanso?
jabh rota har pal dil mera hai !
kion nahi baha ley jatey tum,
ghum merey, yeh dukh merey !!
matt poncho in ansoon ko..
mujhpe ikk ehsan karo !!
baha leyjao badnaseebi meri ,
baha leyjao meri yeh tarap.
aur kar dalo azad mujhe ,
bigri taqdeer ki zanjeeron se.
bakhsh do mujhe woh zindagi ,
mussarat jiska naam hey.
haan main barish main..
tanha khara roya hoon !!
phir aaj sabse chup chup ke ,
apni qismatt per roya hoon !
haan .. Aaj phir main roya hoon !!!