Aaj faraaghat paate hi maazi ka daftar khola hai
Tanhaaii ma baith ke apna ik ik zakhm tatola hai
Chaan chuka hooN jism-o-rooh pe aaii huii kharaashoN ko
Ulat palat kar dekh liya hai, armaanoN ki laashoN ko
Kamre ma rakha tha use ya dil ma kaheiN dafnaaya tha
Jaane wo anmol khazaana ma ne kahaaN chupaaya tha
Saari umr ka haasil thi wo, khone waali cheez na thi
Soch raha hooN yaad teri gum hone waali cheez na thi
Waraq waraq dekha hai apni gard'aalood kitaaboN ko
Jaise koi be'daari ma DhooND raha ho khwaaboN ko
Aqal ke haathoN se bhi aksar nadaani ho jaati hai
Bohat saNbhaal ke rakhne par bhi cheez kabhi kho jaati hai
Apne saare ghar waaloN ko deewana sa lagta hooN
Is kamre se us kamre tak khoya khoya phirta hooN
Soch samajh kar dunya ki nazroN se chupa kar rakha tha
Ma ne to us yaad ko apne liye bacha kar rakha tha
Teri yaad kaheiN par rakh kar ma bhool gaya hooN
Teri yaad kaheiN par rakh kar ma bhool gaya hooN